[Reader-list] gaanv, shahar, ravikant aur shaharnama

mahmood farooqui mahmoodfarooqui at yahoo.com
Mon Sep 19 10:36:49 IST 2005


Humne kuchh dinon pahle ek mock documentary feature ka
title rakha tha CHALE GAANV KI OR

Maqsad kahne ka yeh, ki voh baat jo us roz Ravikant
aur Sanjay ji ne uthayi thi aur jise Nandy ji ne
sameta tha ki SHAHARNAMA isliye aur gaanvnaama isliye
nahin, kyunki gaanv ab shahar bante ja rahe hain.

Nandy ji is baat ke sakht khilaaf hain ki 'shahar
banna hi gaanv ki niyati hai' magar shahar aur gaanv
ke falsafiyana matlabon ko nazarandaaz karte hue mujhe
kahna yeh hai ki sachhai to yahi hai ki chahe shahar
vaale hon chahe gaanv vaale donon ke liye gaanv ki
sarvottam parinati yahi hai ki voh shahar ban jaayen,
ya shahar jaise ban jaayein.

Lekin darasal bara mudda jo hai, hindi jagat aur gaanv
ka masla jise bahut aasaani aur sahajta se sanjay aur
Ravikant ne nipta diya, uska taalluq sirf isse nahin
hai ki Hindi saahitya ab apni shahri parivesh mein
aatmvishwaas se khara ho gaya hai, maano hindi
saahitya koi gaanv se aaya hua mera dada hai jo ab
teen pushton ke baad shahar mein apni jarein phaila
chuka hai. Voh Nagarjun aur Nagar aur Nirala aur
Premchand ab hamare paas nahin hain jo gaanv se nikle
the.

Gaanv jo kabhi Hindi ka shahar tha so isliye to tha hi
ki Gandhi aur aazaadi ke rahnumaaon ne hindustan ki
haqeeqat ka asli akas gaanv mein dhoondha tha aur
Hindi  srijan ek arse tak apne aaspaas ek naitik
zimmedari dale hue tha, desh aur desh ke asli juz
gaanv ke prati. Baat yeh bhi thi ki jo log voh
saahitya parh rahe the aur jo log use likh rahe the
voh khud gaanv se aaye the aur unka taalluq gaanv se
bana rahta tha saalahasaal.

SHuroo ki baat pe vaapas paltun to mere dada jo gaanv
mein paida hue aur mere pitaji jinhein gaanv ki
baharein dekhi thin, voh virasat mujhe nahin saunp
sake, mera gaanv ab ya to aadha hai, ya premchand ke
paas rah gaya hai aur usmein jo bacha use raagdarbari
le gaya. 

To kahne ka matlab yeh ki hum yadi aaj gaanv ke baare
mein nahin likhte hain aur uske baare mein nahin
parhte hain to isliye ki shahron mein ek acchi khaasi
taadaad un hindi parhne waalon aur likhne waalon ki
hai jo gaanv se poori tarah naabalad hain. 

Hum gaanv ko isliye haashiye par rakh sakte hain ki
voh ab hamara aaspaas nahin basta aur na hi hamare
paathakon ke aaspaas basta hai. to hum kyun uspe
likhein aur kyun uspe baat karein?

Magar agar baat ko gaanv se hata ke kisanon ki taraf
laaya jaye, yaani peasants ke, to phir maamla
geographical aur spatial na rahke temporal ho jata
hai.  Voh isliye ki voh jo paanchveen class la lesson
hum parhte the ki bharatvarsh kisanon ka desh hai ab
usmein yun tarmeem kar di jaani chahiye ki bharatvarsh
kisanon ka desh tha, jo ab abhi yahan qareeb saath
pratishat ki taadaad mein hain, magar chunki GDP mein
voh mahaz 25 percent ka yogdaan dete hain isliye humne
yeh maan liya hai ki kuchh hi dinon mein sab kisan ya
to shahar palaayan kar jaayenge ya gaanv shahar ban
jaayenge aur kisanon ko kisaani ke abhishaap se mukti
mil jaayegi.

Phir hamara shaharnama aap hi aap poore mulk ka ahaata
kar lega.

Hum shahri log hain bhaiyya aur shahar ke baare mein
likh rahe hain, hum choonki hindi waale hain isliye
humko safai deni parti hai. Urdu waalon ne to shuroo
se hi apne aap ko shahri zabaan waala banake saari
samaajik zimmedariyon se mukt kar liya. 

To pahli baat to yeh ki kya hamein safaai dene ki
zaroorat hai, doosri baat yeh ki hum agar safaai dein
to phir dein, kanni na kataayein...

Sammanpoorvak,

GANWAAR.


		
__________________________________ 
Yahoo! Mail - PC Magazine Editors' Choice 2005 
http://mail.yahoo.com



More information about the reader-list mailing list