[Reader-list] Re: Invitation to subscribe

nomeparece nomeparece at gmx.net
Mon Sep 19 16:01:51 IST 2005


hola Jose Carlos,

i wanted to see the archives of the list, but they are blocked for  
web/public viewing, is this a moderated list? if so, who is  
moderating it? can it be possible to read it online only? if they are  
blocked, whats the reason for keeping them off from non-group  
members? i will like to understand why i cannot access the  
archives..merci

http://ar.groups.yahoo.com/group/iberoamerica-act/

to many questions :)
thanks, gracias
/a



On Sep 19, 2005, at 12:00 PM, reader-list-request at sarai.net wrote:

> Send reader-list mailing list submissions to
>     reader-list at sarai.net
>
> To subscribe or unsubscribe via the World Wide Web, visit
>     https://mail.sarai.net/mailman/listinfo/reader-list
> or, via email, send a message with subject or body 'help' to
>     reader-list-request at sarai.net
>
> You can reach the person managing the list at
>     reader-list-owner at sarai.net
>
> When replying, please edit your Subject line so it is more specific
> than "Re: Contents of reader-list digest..."
>
>
> Today's Topics:
>
>    1. Invitation to subscribe to iberoamerica-act
>       (Jose-Carlos Mariategui)
>    2. gaanv, shahar, ravikant aur shaharnama (mahmood farooqui)
>
>
> ----------------------------------------------------------------------
>
> Message: 1
> Date: Mon, 19 Sep 2005 00:31:51 +0100
> From: Jose-Carlos Mariategui <jcm at ata.org.pe>
> Subject: [Reader-list] Invitation to subscribe to iberoamerica-act
> To: Spectre <spectre at mikrolisten.de>, nettime
>     <nettime-l at bbs.thing.net>,    Reader <reader-list at sarai.net>
> Message-ID: <BF53B777.29497%jcm at ata.org.pe>
> Content-Type: text/plain; charset="ISO-8859-1"
>
> [iberoamerica-act]
> Lista de Interés Iberoamericana de Arte, Nuevos Medios, Ciencia y  
> TecnologĂ­a
> Iberoamerican Mailing List on Art, New Media, Science and Technology
>
> http://groups.yahoo.com/group/iberoamerica-act
> Subscribe at: iberoamerica-act-subscribe at yahoogroups.com
>
> Created in January, 2001, Iberoamerica-act is the main mailing list  
> on Latin
> American electronic arts. It responded to the necessity of  
> developing a
> space of dialogue between artists, theoreticians and public in  
> relation to
> art, science and technology in the Iberoamerican region, extending  
> voices to
> participate in a multidirectional discussion.
>
> Currently the list has around 350 members that in many cases share  
> similar
> realities and generate working strategies together.
>
> Main language: Spanish / Portuguese
>
> Subscribe at: iberoamerica-act-subscribe at yahoogroups.com
>
>
>
>
> ------------------------------
>
> Message: 2
> Date: Sun, 18 Sep 2005 22:06:49 -0700 (PDT)
> From: mahmood farooqui <mahmoodfarooqui at yahoo.com>
> Subject: [Reader-list] gaanv, shahar, ravikant aur shaharnama
> To: reader-list at sarai.net
> Message-ID: <20050919050649.1906.qmail at web80909.mail.scd.yahoo.com>
> Content-Type: text/plain; charset="iso-8859-1"
>
> Humne kuchh dinon pahle ek mock documentary feature ka
> title rakha tha CHALE GAANV KI OR
>
> Maqsad kahne ka yeh, ki voh baat jo us roz Ravikant
> aur Sanjay ji ne uthayi thi aur jise Nandy ji ne
> sameta tha ki SHAHARNAMA isliye aur gaanvnaama isliye
> nahin, kyunki gaanv ab shahar bante ja rahe hain.
>
> Nandy ji is baat ke sakht khilaaf hain ki 'shahar
> banna hi gaanv ki niyati hai' magar shahar aur gaanv
> ke falsafiyana matlabon ko nazarandaaz karte hue mujhe
> kahna yeh hai ki sachhai to yahi hai ki chahe shahar
> vaale hon chahe gaanv vaale donon ke liye gaanv ki
> sarvottam parinati yahi hai ki voh shahar ban jaayen,
> ya shahar jaise ban jaayein.
>
> Lekin darasal bara mudda jo hai, hindi jagat aur gaanv
> ka masla jise bahut aasaani aur sahajta se sanjay aur
> Ravikant ne nipta diya, uska taalluq sirf isse nahin
> hai ki Hindi saahitya ab apni shahri parivesh mein
> aatmvishwaas se khara ho gaya hai, maano hindi
> saahitya koi gaanv se aaya hua mera dada hai jo ab
> teen pushton ke baad shahar mein apni jarein phaila
> chuka hai. Voh Nagarjun aur Nagar aur Nirala aur
> Premchand ab hamare paas nahin hain jo gaanv se nikle
> the.
>
> Gaanv jo kabhi Hindi ka shahar tha so isliye to tha hi
> ki Gandhi aur aazaadi ke rahnumaaon ne hindustan ki
> haqeeqat ka asli akas gaanv mein dhoondha tha aur
> Hindi  srijan ek arse tak apne aaspaas ek naitik
> zimmedari dale hue tha, desh aur desh ke asli juz
> gaanv ke prati. Baat yeh bhi thi ki jo log voh
> saahitya parh rahe the aur jo log use likh rahe the
> voh khud gaanv se aaye the aur unka taalluq gaanv se
> bana rahta tha saalahasaal.
>
> SHuroo ki baat pe vaapas paltun to mere dada jo gaanv
> mein paida hue aur mere pitaji jinhein gaanv ki
> baharein dekhi thin, voh virasat mujhe nahin saunp
> sake, mera gaanv ab ya to aadha hai, ya premchand ke
> paas rah gaya hai aur usmein jo bacha use raagdarbari
> le gaya.
>
> To kahne ka matlab yeh ki hum yadi aaj gaanv ke baare
> mein nahin likhte hain aur uske baare mein nahin
> parhte hain to isliye ki shahron mein ek acchi khaasi
> taadaad un hindi parhne waalon aur likhne waalon ki
> hai jo gaanv se poori tarah naabalad hain.
>
> Hum gaanv ko isliye haashiye par rakh sakte hain ki
> voh ab hamara aaspaas nahin basta aur na hi hamare
> paathakon ke aaspaas basta hai. to hum kyun uspe
> likhein aur kyun uspe baat karein?
>
> Magar agar baat ko gaanv se hata ke kisanon ki taraf
> laaya jaye, yaani peasants ke, to phir maamla
> geographical aur spatial na rahke temporal ho jata
> hai.  Voh isliye ki voh jo paanchveen class la lesson
> hum parhte the ki bharatvarsh kisanon ka desh hai ab
> usmein yun tarmeem kar di jaani chahiye ki bharatvarsh
> kisanon ka desh tha, jo ab abhi yahan qareeb saath
> pratishat ki taadaad mein hain, magar chunki GDP mein
> voh mahaz 25 percent ka yogdaan dete hain isliye humne
> yeh maan liya hai ki kuchh hi dinon mein sab kisan ya
> to shahar palaayan kar jaayenge ya gaanv shahar ban
> jaayenge aur kisanon ko kisaani ke abhishaap se mukti
> mil jaayegi.
>
> Phir hamara shaharnama aap hi aap poore mulk ka ahaata
> kar lega.
>
> Hum shahri log hain bhaiyya aur shahar ke baare mein
> likh rahe hain, hum choonki hindi waale hain isliye
> humko safai deni parti hai. Urdu waalon ne to shuroo
> se hi apne aap ko shahri zabaan waala banake saari
> samaajik zimmedariyon se mukt kar liya.
>
> To pahli baat to yeh ki kya hamein safaai dene ki
> zaroorat hai, doosri baat yeh ki hum agar safaai dein
> to phir dein, kanni na kataayein...
>
> Sammanpoorvak,
>
> GANWAAR.
>
>
>
> __________________________________
> Yahoo! Mail - PC Magazine Editors' Choice 2005
> http://mail.yahoo.com
>
>
> ------------------------------
>
> _______________________________________________
> reader-list mailing list
> reader-list at sarai.net
> https://mail.sarai.net/mailman/listinfo/reader-list
>
>
> End of reader-list Digest, Vol 26, Issue 23
> *******************************************
>
>




More information about the reader-list mailing list