[Reader-list] Re: [Deewan] Fwd: first posting by Mrityunjay Tripathi, Allahabad

Rakesh rakesh at sarai.net
Wed Jan 25 14:29:13 IST 2006


Mritunjay bhai

Apke sodh ka vishay aur Allahabad ki chhatra rajniti ki jo jhalak aapne 
di hai, dilchasp hai. Mere khayal se aapne ji mandal, kamandal, aur 
bhumanal(ikaran) ke baad campus ki rajniti par nazar dalne ka irada 
badhiya hai. Is daur mein aur campuson mein bhi khas tarah ki hulchalen 
dekhi-suni gayin, Vishesh kar uttar bharat ke campuson mein.

Jaise aapne deligecy ke chhatron ki golbandi ke bare mein bataya ki 
rojgar ke masle par hone wale aandolon mein unki bhagidari bad-chad kar 
hoti hai: thik hai. Saath hi yah bhi padtal kiya jana chahiye ki ram 
shila pujan aur masjid vidhwans ke dauran chhatro ki kya bhumika thi aur 
us waqt kaise nare gunjte the sangam ke kinare.

Mere hisab se mukhyadhara ki partiyon, khaskar BSP ke ubhar ke baad 
campus mein kya kuch ghata, dekhna dilchasp hoga; Kyonki Dilli mein to 
dalit chhatraon ke masle par, ya dalit utpeedan ke khilaf huye 
sangharshon mein dalit chhatra sangathnon ki koi khas bhumika hal tak 
nahin thi. Ab chhit-phut prayas dikhte hain.

Yah dekhna bhi dilchasp hoga ki kis-kis tarah ke masle chhatra aandolan 
ne uthayen hain.

Yahan Dilli ke anubhav ke aadhar par ek aur salah - Yahan, undergraduate 
level par ya MA previous ke dauran bilkul nishkriya rahne wale chhatra 
achanak MA final ya M Phil. tak aate-aate behisab sakriya ho jate hain. 
Iski ek mukhya wajah vishwavidyalaya mein adhyapki haasil karna hota 
hai. Kya aisi sakriyata wahan bhi dikhti hai.

Filhal itna hi. Posting achchhi lagi. Aur daba ke likhiye.

salam
rakesh

Ravikant wrote:

>----------  Forwarded Message  ----------
>
>Subject: Re: sab thik hai
>Date: Tuesday 24 Jan 2006 6:42 pm
>From: mrityunjay tripathi <tripathi_mrityunjay at yahoo.co.in>
>To: Ravikant <ravikant at sarai.net>
>
>  main mrityunjay tripathi allahabad ke ek hostel main rahta hoon. allahabad
> university me hindi me research kar raha hoon,'hindi aalochana me
> cannonisation' par.chatra rajniti me sakriya bhagedari aur dilchaspi pichle
> sat salon se hai.nai samajik parighatnao aur badlavon me dilchaspi
> hai,khaskar unme jahan pratirodh ke naye roop dikhlai parte hain. 
>
>Sarai/CSDS ke  liye mera project 'allahabad ki chatra rajniti' par hai.chunki 
>90ke dashak  me samuchi chatra rajniti me naye asar dekhne me aaye isliye is 
>daur par  khastaur par meri najar hogi.mandal- kamandal aurbhoomandalikaran 
>ki nai  rajniti ne chali aa rahi chatra rajniti me bhari ulat pher 
>kiye.campason, hostelon, aur deligesiyon me rah rahe chatron par iska gahara 
>asar  para.bahut sare aise log parhne aaye jinki samajik aur aarthik sthitian
> behad kharab thi aur unke pahale ki kisi pirhi ne vishvavidyalyon ka munh
> nahi dekha tha. allahabad ki chatra rajniti me hostalon [kul 13 ] aur
> deligesion me rahane vale regular chatron ki bhagedari ke sath hi un chatron
> ka bhi bara prabhav hai jo vishyavidyalay to chor chuke hain lekin abhi bhi
> compitition [mukhyatah ias-pcs] ki paricchaon me lage hue hain.yah tabaka
> kafi bara hai , vishvavidyalay ke regular lagbhag 36000 chatron ke mukabale
> 3-4 guna hai. chunki yah tabka samuche sahar me rahta haiisliye isliye sahar
> ke tamam hissey bhi chatra rajniti se jur jate hain. hostel chunavon main
> Mathadison [ve, jo aksarhan purane chatra neta ya prabhavi allahabadi hote
> hain,aur aapni jation ke chatron ke vote,unake mutabik ,aapani jeb me
> rakhate hain. ]ke addey ban jate hain. chunki hostlon se sangathit voting
> hoti hai isliye ve chunav me jyada mahatvapurna ho jate hain. aandolno me,
> sabse aage hostalon ke hi log rahate hain, karan yah ki sabse jyada aur
> jaldi sangathik bhid ve hi hote hain.delegesi ke chatron ki bari tadat
> aandolano me utarti hai basarte muddey rojgar se jure hon.
> 
> chatranetaon ke mote taur par teen hissey kiye ja sakate hain_pahala hissa
> un vibhinn sangathano ke chatra netao ka hai jo kisi vichardhara se jure
> hokar aapni vichardhara ke mutabik aandolano ,acadmics aur tamam dusare
> muddon par hastakchep karate hain.inka sangathanik dhancha majboot aur sal
> bhar kam karne vala hota hai.inme AISA,ABVP,ICM,AIDSO se jure chatraneta
> hain.dusara hissa unka hai jo mukhyadhara ki rajnaitik partion ke chatra
> sangathan hain.aamtaur par sangathan ke roop me sal bhar inka koi kam nahi
> hota.ain chunav ke vakht inme ticatarthi netaon ki katar lagati hai aur
> jatiya samikarno par aadharit rajnaitik partion me carreere talase jate
> hain. vaise to sal bhar inka sangathan behad lachila aur dhila hota hai
> lekin chunavon me ye behad sadhi hui karyashaili ka parichay dete hain.inme
> NSUI,SCS[samajvadi chatra sabha],BCF[bahujan chatra front] aadi hain.ABVP 
> is tarah ki bhi  karyashaili aapnati hai. tishara aur sabse bara hissa un
> chatranetaon ka hai jo vyaktigat roop se sakriya rahate hain chatro ke galat
> aur sahi dono tarah ke kam karvate hain[jaise marksheet me nam sahi karvana
> ,farji marksheet banvana,no. barhvana,cochingon me saste dar par addmition
> dilvana aur dalali khana, vagairah vagairah] chatra rajniti ko aam taur par
> rajnaitik partion me jane ki narsary ke roop me dekhane ka chalan hai.70 ke
> dhasak me jab SYS [samajvadi yuvjan sabha] ka majboot kamkaj yahan tha tab
> kai chatra neta [chandrashekhar, mohan singh aadi] mukhyadhara rajnitime
> gayi. bad me vampanthi sangathano me bhi kai chatra neta bari bhumikaon me
> gaye. rakesh dhar tripathi jaise ekadh nam ABVP se bhi liye ja sakate
> hain.lekin 90 ke dashak me is trend me bhari giravat aai.mukhyadhara partion
> me chatra netaon ki vakat kam hoti gai.iska andaj pure desh me chatra
> aandolano me aaye tharav se lagaya ja sakata hai.is dashak me U.P.me satta
> ki bhagedari ko vyagranai rajnaitik takaton ke pratinidhion aur rajniti me
> aapradhion ke bolbale ne chatra netaon ke liye jagah kam kar di.U.P. ki
> rajniti me bante naye samikarno se ye bat aur saf ki ja sakati hai.
> allahabad ki chatra rajniti me ,chunav me chatraon ki bhagedari ka chit fut
> silsila 80 ke bad hi dekhane me aata hai.lekin chunav me voting aur parinamo
> me unki dilchaspi jabardast hai.sahar me rahane vali larkion ka kam
> pratishat vote deta hai, jabki girls hostalon [kul 3] me rahane vali larkion
> ka kafi bara % isme utsah se sirkat karata hai. allahabad me is daur me
> chatra rajniti ki aavsyakta ko lekar bhi bahash chali. yah bahas chatron
> banam prasashan ki hai.ECC (iwing cristion college)me prasashan ne is par
> chatron me sarvekshan karaya aur faisala chatra rajniti ke pakcha me
> raha.allahabad high court ke taja tareen faisale ke mutabik chatro ko khud
> hi chatra rajniti ke bare me faisala lena chahiye.aur filvakht union chatron
> ki ray janane ke liye seminar karva rahi hai. naron ki yaha khasiyat unka
> kam rajnaitik hona,lyrikal hona aur deth hona hai. pichale chunav me lage
> kuch naron ka mulahija farmayen:
>  
>brahma - vihnu - mahesh ! jai ganesh jai ganesh!
>  (ganesh singh maha mantri ke liye lar rahe the)
>  bhaia chunar munaria jai ho!
>  bhaia raghunath bhaia jai ho!
>  bhaia cay piaihain jai ho!
>  bhaia bhauji diaihain jai ho!
>  (aantim line dhire se boli jati hai.)(raghunath dvivedi ,umra 54 sal, kai
> pco aur aato chalte hain,president ke liye) gunje dharti aur aakash! jai
> vikash jai vikash!
>  (ak digri college ke president  rah chuke,  mahamantri ke liye)
>  meri rai teri rai ! rinku rai rinku rai!
>  jit gaye to ram chalega ! nahi to goli bam chalega!
>  rinku bhaia harega ,to gand pe goli marega!
>  (rinku rai ,mahamantri ke liye,hatya aur apaharan ke aaropi)
>  aapna neta chaure se ! baki sab laundey se!
>
>  fees vridhi ke kilaf chale aandolan ka mukhya nara-jab m m joshi  ed.
> minister they- joshi tumko dand milega ! vote nahi aab land milega!
>
>
>  samagrri ka aabhav is vishay ko jahan ek taraf kathin kar deta hai vahi
> sahar me iska failav ise rochak banata hai. interviues(netao,university ke
> aas pas ke dukandaron shariyon aur chatro ke) aur akhabar mere madadgar
> honge.
>
>
>
>Send instant messages to your online friends http://in.messenger.yahoo.com
>
>-------------------------------------------------------
>_______________________________________________
>Deewan mailing list
>Deewan at mail.sarai.net
>http://mail.sarai.net/cgi-bin/mailman/listinfo/deewan
>  
>


-- 
Rakesh Kumar Singh
Sarai-CSDS
29, Rajpur Road
Delhi-110054
Ph: 91 11 23960040
Fax: 91 11 2394 3450
web site: www.sarai.net
web blog: http://blog.sarai.net/users/rakesh/




More information about the reader-list mailing list