[Reader-list] Re: aaj sharat

irfan sirfirf at yahoo.com
Tue May 30 17:55:54 IST 2006


Ravindranath Tagore kaa ek geet hindi mein.
-Irfan
> <Aaji Sharat>
> 
> Aaj is sharat kaal mein,
> Prabhat mein dekhe gaye swapn mein 
> pata nahin mere praanon ko kiski chaah hai?
> Aaj shefali phoolon kee gadrai shakhaon par 
> Panchhiyon ka joda,
  kaun saa Gaan gaa raha hai?
> 
> Aaj is meethee bahti bayar mein bhi-
> Hriday udaas pada hai-
> Yah ghar mein man maarkar baitha nahin rahna
> chaahta.
> Kis suman kee aashaa mein,
> Kis phool kee surabhi ke peechhe-peechhe
> Yah man nirabhra aakash mein daudna chaahta hai.
> 
> Aaj koi hai-jo sammukh nahin hai-
> Aur is prabhat vela mein,
> Aisa jaan padta hai 
> Maano jeevan viphal ho gayaa.
> Yah chaaron ore dekhta rahta hai-
> Man andar hi andar rota-kalapta aur gaata rahta hai-
> Yah nahin, Aesa nahin, Vaisa nahin, Kahin nahin-
> Kahkar khud ko samjhaata rahta hai.
> 
> Sapnon ke is desh mein,kaun hai woh chhalnamayi
> Jo apne lambe keshon kee 
> chhayadar amrai mein Chhipi baithi hai.
> Aaj pata nahin kis upwan mein 
> Virah kee vedna sanjoey,
> Mere hee kaaran roti phir rahi hai.
> 
> Agar main apne asthir pranon ke saath gaan ki 
> Panktiyaan bhi goonth.ta chalaa jaaun to-
> Main yeh gaan aakhir sunaaunga kise?
> Agar main phoolon ki daali lekar
> Unkee maala goonth.ta jaaoon-
> To apna yeh pushphaar kiske gale mein daaloonga?
> aur agar main apne praan
> Kisi par nyochhavar karna chhahoon-
> To unhein kiske pairon par 
> nyochhavar kar paaoonga bhala!
> Mera hriday saham uthta hai ki meri bhool chook
> kahin
> Kisi ka dil na dukha jaaye...
> Use akaran kasht na ho.
> ---------------------------
> <<<Ravi baaboo se kshama yaachna sahit.>>>>
> 
> 
> 
> 
> __________________________________________________
> Do You Yahoo!?
> Tired of spam?  Yahoo! Mail has the best spam
> protection around 
> http://mail.yahoo.com 
> 


__________________________________________________
Do You Yahoo!?
Tired of spam?  Yahoo! Mail has the best spam protection around 
http://mail.yahoo.com 



More information about the reader-list mailing list