[Reader-list] ghazal by mumtaz saeed

yasir ~يا سر yasir.media at gmail.com
Mon Aug 31 05:35:00 IST 2009


meray khuda koee naee kitab naazil kar
naee daleel naya inqilaab naazil kar

*my god, some new book, send it down
an argument new, a new revolution, send it down*

taras gaee hai samaa'at naveed e nau ke liye
basaaraton pe nayae aab o taab naazil kar

*the hearing has yearned, for a new greeting
to visions, illuminations** new**, send it down *

samaa'aton ko naye harf ki bashaarat de
hamaaree aankhon pe nadeedaa khaab naazil kar
*
reveal a new word for us to hear
on our eyes, **an unseen **dream, send it down*

har ik simt aqeedon ki dhund taari hai
ataabzadon pe koee azaab naazil kar

*in every direction hangs the fog of belief
on the condemned, some devastation, send it down*

tawahumaat ke qariyon pe phir tabahi bhej
azaab saazon pe koee azaab naazil kar

*lay waste the reciters of omens, again
to those who destroy, some devastation, send it down*



by Mumtaz Saeed (d 2009)
karachi

[tr. yasir]


More information about the reader-list mailing list